BREAKING NEWS

Gardashon Ke Hain Mare Huye Na Mp3 With Lyrics Nusrat Fateh Ali Khan

 Gardishon Ke Hain Mare Huye Na

Download : Gardishon Ke Hain Mare Hue Na Compelete Qawali

LYRICS

Gardishon Ke Hain Mare Hue Na Dushmanon Ke Sataye Huye Hain
Jitne Bhi Zakhm Hain Mere Dil Par, Doston Ke Lagaye Huye Hain

Ishq Ko Roag Maar Datay Hein, Aqal Ko Soag Maar Detay Hein
Aadmi Khud Ba Khud Nahi Marta, Dosray Loag Maar Daitay Hein

Loag Kaanton Say Bach K Chaltay Hein, Hum Nai Phoolon Say Zakhm Khaye Hein
Tum Ko Ghairon Ki Baat Kartay Ho, Hum Nai Apnay Bhi Aazmaye Hein

Kasa-E-Deed Lay K Dunya Mein, Mein Nai Deedar Ki Gadaye Ki
Meray Jitnay Bhi Yaar Thay Sub Nai Hasb-E-Taufeeq Bewafai Ki

Jab Se Dekha Tera Qaddo Kaamat

Tumhein Dekha To Zahid Nai Kaha Eeman Ki Ya Hai K
Ub Insaan Ko Sajda Rawa Honay Ka Waqt Aaya

Ay Mast-E-Naaz Daikhnay Walo K Dil To Daikh
Pamal Ho Ga′ay Teri Raftaar Daikh Ker

Giraya Giraya Haat Say Sheesha Surahi Tour Di Mein Nai
Sharab Seekh Pay Dali Kabab Sheeshay Mein

In Aankhon Say Qayamat Ki Nishani Kaun Daikhay Ga
Buth-E-Kafir Teri Uth’ti Jawani Kaun Daikhay Ga

Jab Se Dekha Tera Qaddo Kaamat Dil Pe Tooti Hui Hai Qayaamat
Har Bala Se Rahe Tu Salaamat Din Jawaani Ke Aaye Huye Hain

Qareeb Aur Bhi Aao K Shauq-E-Deed Mitay
Sharab Aur Pilao K Kuch Nasha Utray

Apne Dil-E-Sadchak Ko See Sakta Hoon, Mehoom-E-Karam Ho K Bhi Ji Sakta Hoon
Mauqof Nahi Jaam Pay Rindii Meri, Saki Tere Ghussay Ko Bhi Pi Sakta Hoon

Aur De Aur De Mujhko Saaki Hosh Rehta Hai Thoda Sa Baaki
Aaj Talkhi Bhi Hai Inteha Ki Aaj Wo Bhi Paraye Huye Hain

Kal The Abad Pehlu Mein Mere Ab Hai Gairon Ki Mehfil Mein Dere
Meri Mehfil Mein Kar Ke Andhere Apni Mehfil Sajaaye Huye Hain

Apne Haathon Se Khanjar Chala Kar Kitna Masoom Chehra Banaakar
Apne Kaandhon Pe Ab Mere Qaatil Meri Mayyat Uthaye Huye Hain

Mehvashon Ko Wafa Se Kya Matlab In Buton Ko Khuda Se Kya Matlab
Inki Masoom Nazron Ne ‘Nasir’ Log Paagal Banaaye Huye Hain

LYRICS In Urdu

گردشوں کے ہیں مارے ہوئے نہ دشمنوں کے ستائے ہوئے ہیں
جتنے بھی زخم ہیں میرے دل پر، دوستوں کے لگائے ہوئے ہیں

عشق کو روگ مار دیتے ہیں، عقل کو سوگ مار دیتے ہیں۔
آدمی خود بخود نہیں مارتا، دوسرے لوگ مار دتے ہین

جب سے دیکھا تیرا قدوقامت، دل پہ ٹوٹی ہوئی ہے قیامت
ہر بلا سے رہے تو سلامت، دن جوانی کے آئے ہوئے ہیں

اور دے مجھ کو دے اورساقی، ہوش رہتا ہے تھوڑا سا باقی
آج تلخی بھی ہے انتہا کی، آج وہ بھی پرائے ہوئے ہیں

کل تھے آباد پہلو میں میرے، اب ہیں غیروں کی محفل میں ڈیرے
میری محفل میں کرکے اندھیرے، اپنی محفل سجائے ہوئے ہیں

اپنے ہاتھوں سے خنجر چلا کر، کتنا معصوم چہرہ بنا کر
اپنے کاندھوں پہ اب میرے قاتل، میری میّت اٹھائے ہوئے ہیں

مہ وشوں کو وفا سے کیا مطلب، ان بُتوں کو خدا سے کیا مطلب
ان کی معصوم نظروں نے ناصرؔ لوگ پاگل بنائے ہوئے ہیں


Share:

 
Copyright © 2023 Nusrat Records. Designed by Nusrat Records - Nusrat Records