BREAKING NEWS

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein MP3 With Lyrics

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein is one of the best qawali of The Legend Nusrat Fateh Ali Khan. He sang many qawalis, Ghazals, Naats and many songs in Bollywood and Hollywood. Nusrat Fateh Ali Khan Is Known as the master of  singing in the universe. Now you will litsen the most famous and great qawali of Nusrat Fateh Ali Khan named Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein.

Download : Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein Compelete Qawali

Complete Lyrics

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein
Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo

Aisa Bun'na Sawarna, Un Ka Bun'na Sawarna
Woh Kia Sawar Ga'ay Meri Qismat Sawar Gayi

Woh  Agar Bun Sawar Ga'ay Hoon Gay
Daikhnay Walay Mar Ga'ay Hoon Gay

Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein

Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein

Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
Aaj Yeh Daikhein Gay Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
Aa'ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo

Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh Roshan Jabeen Bhi
Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
Aa’ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kahein
Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo

Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain Gay
Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain Gay
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay
Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat
Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat


Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
Tum Jiss Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Andaaz Apne Daikhte Hein Aa'ine Mein Woh
Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
Daikh Letay Hein Woh Duz Deeda Nazar Say

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-Kham Shuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
Jao Rasta Lo Tumhara Kuch Nahi

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat
Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

eh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay
Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo

Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja’ay Gi
Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja’ay Gi
Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa’ay Gi
Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo

Kaam Aa’ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan
Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa
Ay Fana Is Jahan Say Kinara Karo

Lyrics In Urdu

ایسا بننا سنورنا مُبارک تُمہیں
کم سے کم اِتنا کہنا ہمارا کرو
چاند شرمائے گا چاندنی رات میں
یُوں نہ زُلفوں کو اپنی سنوارا کرو

یہ تبسّم یہ عارض یہ روشن جبِیں
یہ ادا یہ نِگاہیں یہ زُلفیں حسِیں
آئینے کی نظر لگ نہ جائے کہیں
جانِ جاں اپنا صدقہ اُتارا کرو

دِل تو کیا چیز ہے جان سے جائیں گے
موت آنے سے پہلے ہی مر جائیں گے
یہ ادا دیکھنے والے لُٹ جائیں گے
یُوں نہ ہنس ہنس کے دِلبر اِشارہ کرو

فِکرِ عُقبا کی مستی اُتر جائے گی
توبہ ٹُوٹی تو قِسمت سنور جائے گی
تم کو دُنیا میں جنت نظر آئے گی
شیخ جی مے کدے کا نظارہ کرو

کام آئے نہ مُشکل میں کوئی یہاں
مطلبی دوست ہیں، مطلبی یار ہیں
اِس جہاں میں نہیں کوئی اہلِ وفا
اے فناؔ اِس جہاں سے کِنارہ کرو
 

Share:

 
Copyright © 2023 Nusrat Records. Designed by Nusrat Records - Nusrat Records