BREAKING NEWS

Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi Nusrat Fateh Ali Khan Download MP3 With Lyrics

Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi is one of the best qawali of The Legend Nusrat Fateh Ali Khan. He sang many qawalis, Ghazals, Naats and many songs in Bollywood and Hollywood. Nusrat Fateh Ali Khan Is Known as the master of  singing in the universe. Now you will litsen the most famous and great qawali of Nusrat Fateh Ali Khan named Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi.

Download : Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi Compelete Qawali

Lyrics

Tumhein Dillagi Bhool Jaani Padegi
Muhabbat Ki Raahon Mein Aake Tou Dekho
Tadapne Pe Mere Na Phir Tum Hasoge
Kabhi Dil Kisi Se Lagakar Tou Dekho

Wafaon Ki Hamse Tawakko Nahi Hai
Magar Ek Baar Aazma Ke Tou Dekho
Zamane Ko Apna Banakar Tou Dekho
Hame Bhi Tum Apna Banake Tou Dekho

Khuda Ke Liye Chord Do Ab Ye Parda
Ke Aaj Hum Tum Nahi Gair Koi
Shab-E-Wasl Bhi Hai Hijab Is Qadar Kyun
Zara Rukh Se Anchal Utha Kar Tou Dekho

Jafaye Bohot Ki Bohot Zulm Dhaye
Kabhi Ek Nigahen Karam Is Taraf Bhi
Hamesha Huye Dekh Kar Mujhko Bereham
Kisi Gair Ko Sata Kar Tou Dekho

Jo Ulfat Me Har Ek Sitam Hai Gawara
Ye Sab Kuch Hai Pas-E-Wafa Tumse Warna
Satate Ho Din Raat Jis Tarah Mujhko
Kisi Gair Ko Sata Kar Tou Dekho

Agarche Kisi Baat Par Wo Khafa Hai
To Acha Yahi Hai Tum Apni Si Kar Lo
Wo Mane Na Mane Ye Marzi Hai Unki
Magar Unko Purnam Mana Kar Tou Dekho

Lyrics in Urdu

تمہیں دل لگی بھول جانی پڑے گی
محبت کی راہوں میں آ کر تو دیکھو
تڑپنے پہ میرے نہ پھرتم ہنسو گے
کبھی دل کسی سے لگا کر تو دیکھو

وفاؤں کی ہم سے توقع نہیں ہے
مگر ایک بار آزما کے تو دیکھو
زمانے کو اپنا بنا کر تو دیکھا
ہمیں بھی تم اپنا بنا کر تو دیکھو

خدا کے لئے چھوڑ دو اب یہ پردہ
کہ ہیں آج ہم تم نہیں غیر کوئی
شب ِوصل بھی ہے حجاب اس قدر کیوں
ذرا رُخ سے آنچل اٹھا کرتو دیکھو

جفائیں بہت کیں بہت ظلم ڈھائے
کبھی اک نگاہِ کرم اِس طرف بھی
ہمیشہ ہوئے دیکھ کرمجھ کو برہم
مری جاں کبھی مسکرا کر تو دیکھو

جو الفت میں ہراک ستم ہے گوارہ
یہ سب کچھ ہے پاسِ وفا تم سے ورنہ
ستاتے ہو دن رات جس طرح مجھ کو
کسی غیر کو یوں ستا کر تو دیکھو

اگر چہ کسی بات پر وہ خفا ہیں
تو اچھا یہی ہے تم اپنی سی کر لو
وہ مانے نہ مانے یہ مرضی ہے اُن کی
مگراُن کو پرنم منا کر تو دیکھو


Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein MP3 With Lyrics

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein is one of the best qawali of The Legend Nusrat Fateh Ali Khan. He sang many qawalis, Ghazals, Naats and many songs in Bollywood and Hollywood. Nusrat Fateh Ali Khan Is Known as the master of  singing in the universe. Now you will litsen the most famous and great qawali of Nusrat Fateh Ali Khan named Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein.

Download : Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein Compelete Qawali

Complete Lyrics

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo
Chaand Sharmaye Ga Chaandni Raat Mein
Yoon Na Zulfon Ko Apni Sanwara Karo

Aisa Bun'na Sawarna, Un Ka Bun'na Sawarna
Woh Kia Sawar Ga'ay Meri Qismat Sawar Gayi

Woh  Agar Bun Sawar Ga'ay Hoon Gay
Daikhnay Walay Mar Ga'ay Hoon Gay

Hazaaroon Wadae Shab Us Nay Is Sorat Say Palay Hein
Kabhi Mehndi Lagayi Hai Kabhi Gayso Sambhalay Hein

Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Mareezon Ka Dam Aankhon Mein Hai Woh Hai Mehv-E-Araish
Wahaan Hoonton Ki Lali Hai Yahaan Jaanon K Lalay Hein

Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Hazaroon Faryaad Kar Rahay Hein Magar Kisi Per Nazar Nahi Hai
Woh Mehv Hein Aaine Mein Aisay K Un Ko Apni Khabar Nahi Hai


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Aainay Mein Har Ada Ko Daikh Ker Kehte Hein Wo
Aaj Yeh Daikhein Gay Hum Kiss Kiss Ki Aayi Howi


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Sajne Ke Waqt Yeh Bhi Zara Daikhte Nahi
Aa'ina Daikha Hai Unhein Kiss Nigaah Say


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Unhein Aaraish-E-Gesu Say Matlab
Koi Deewana Ho Ja'ay Bala Say


Un Ka Bun'na Sawarna Aisa Bun'na Sawarna

Aisa Banna Sawarna Mubarak Tumhein
Kam Say Kam Itna Kehna Hamara Karo

Yeh Tabassum Yeh Aariz Yeh Roshan Jabeen Bhi
Yeh Ada Yeh Nigahein Yeh Zulfen Haseen
Aa’ine Ki Nazar Lag Na Jaye Kahein
Jaan-E-Jan Apna Sadqa Utara Karo

Dil To Kia Cheez Hai Jaan Say Jain Gay
Mout Aanay Say Pehle He Mar Jain Gay
Yeh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay
Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat
Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat


Her Ada Mastana Sir Say Paoon Tak Chaayi Howi
Uff Teri Kaafir Jawani Josh Per Aai Howi

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Bismil? Ka Khuda Hafiz, Qatil Ka Khuda Hafiz
Tum Jiss Dil Per Nazar Daalo Us Dil Ka Khuda Kafiz

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Andaaz Apne Daikhte Hein Aa'ine Mein Woh
Aur Yeh Bhi Daikhte Hein Koi Daikhta Na Ho

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Dil Churanay Ki Ada Khaas Hoa Karti Hai
Daikh Letay Hein Woh Duz Deeda Nazar Say

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Zara Un Ki Shokhi To Daikhiyeh Liyeh Zulf-E-Kham Shuda Haath Mei
Mere Paas Akay Dabay Dabay Mujhe Saanp Keh Ke Dara Dia

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Dil Mera Lay Ker Yeh Zalim Ne Kaha
Jao Rasta Lo Tumhara Kuch Nahi

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Angari Le Ke Us Ne Mujh Per Khumaar Dala
Zalim Ki Is Ada Ne Bus Mujh Ko Mar Dala

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

Angari Bhi Wo Lene Na Paye Utha Ke Haath
Daikha Mujhe To Chor Diyeh Muskara Ke Haath

Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat
Kya Qayamat Yeh Ada Hai Yeh Ada, Kya Qayamat

eh Ada Daikhne Walay Lut Jain Gay
Yoon Na Hans Hans Ke Dilbar Ishara Karo

Fikr-E-Uqba Ki Masti Utar Ja’ay Gi
Tauba Tooti To Qismat Sanwar Ja’ay Gi
Tum Ko Dunya Mein Jannat Nazar Aa’ay Gi
Shaikh Ji Mai-Kade Ka Nazara Karo

Kaam Aa’ay Na Mushkil Mein Koi Yahaan
Matlabi Dost Hein Matlabi Yaar Hein
Is Jahan Mein Nahi Koi Ehl-E-Wafa
Ay Fana Is Jahan Say Kinara Karo

Lyrics In Urdu

ایسا بننا سنورنا مُبارک تُمہیں
کم سے کم اِتنا کہنا ہمارا کرو
چاند شرمائے گا چاندنی رات میں
یُوں نہ زُلفوں کو اپنی سنوارا کرو

یہ تبسّم یہ عارض یہ روشن جبِیں
یہ ادا یہ نِگاہیں یہ زُلفیں حسِیں
آئینے کی نظر لگ نہ جائے کہیں
جانِ جاں اپنا صدقہ اُتارا کرو

دِل تو کیا چیز ہے جان سے جائیں گے
موت آنے سے پہلے ہی مر جائیں گے
یہ ادا دیکھنے والے لُٹ جائیں گے
یُوں نہ ہنس ہنس کے دِلبر اِشارہ کرو

فِکرِ عُقبا کی مستی اُتر جائے گی
توبہ ٹُوٹی تو قِسمت سنور جائے گی
تم کو دُنیا میں جنت نظر آئے گی
شیخ جی مے کدے کا نظارہ کرو

کام آئے نہ مُشکل میں کوئی یہاں
مطلبی دوست ہیں، مطلبی یار ہیں
اِس جہاں میں نہیں کوئی اہلِ وفا
اے فناؔ اِس جہاں سے کِنارہ کرو
 

Ye Joh Halka Halka Suroor Hai | NFAK | Mp3 With Complete Lyrics

Yeah Joh Halka Halka Suroor Hai is one of the best qawali of The Legend Nusrat Fateh Ali Khan. He sang many qawalis, Ghazals, Naats and many songs in Bollywood and Hollywood. Nusrat Fateh Ali Khan Is Known as the master of  singing in the universe. Now you will litsen the most famous and great qawali of Nusrat Fateh Ali Khan named Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai.

Download : Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai Compelete Qawali

Download : Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai Modified Version

Lyrics

Poets : Jigar Moradabadi, Abdul Hameed Adam, Anwar Jogi

Saqi Ki Her Nigah Pe Bal Kha Key Pee Gya
Lehro Se Khailta Huwa Lehra Key Pee Gya
Ae Rehmat e Tamam Meri Her Khata Muaaf
Mein Intehaa e Shouq Mein Ghabra Ke Pee Gya
Peeta Bagair Izan, Yeh Kab Thi Meri Majaal
Dar Parda Chashm e Yaar Ki Sheh Paa Ke Pee Gya
Zahid Yeh Meri Shokhi e Rinda Na Daikhna
Rehmat Ko Baton Baton Mein Behla Ke Pee Gya
Oodi Oodi Ghataien Aati Hain
Mutribo Ki Nawaien Aati Hain
Kis Ke Gaisoo Khule Hain Sawan Mein
Mehki Mehki Hawaien Aati Hain
Aao Sehan e Chaman Mein Raqas Kare
Saaz Le Ker Ghataien Aati Hain
Daikh Ker Unki Ankharion Ko Adam
Maikado Ko Hayaien Aati Hain
Paas Rehta Hai Door Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Se Daikha Hai Unki Aankho Ko
Halka Halka Saroor Rehta Hai
Aiese Rehte Hain Woh Mere Dil Mein
Jese Zulmat Mein Noor Rehta Hai
Ab Adam Ka Yeh Haal Hai Her Dam
Mast Rehta Hai Choor Rehta Hai


Saqi Ki Har Nigah Pay Bal Kha K P Gaya

Lehroon Say Khailta Hoa Lehra K P Gaya
Ey Rehmat-e-tamaam Meri Har Khata Muaf
Mein Intiha-e-shouq (mein) Say Ghabra K P Gaya
Peta Baghair Izm Yeah Kab Thi Meri Majaal
Dar Pardah Chashm-e-yaar Ki Shay Pa K P Gaya
Paas Rehta Hai Duur Rehta Hai
Koi Dil Mein Zaroor Rehta Hai
Jab Say Dekha Hai Un Ki Aankhon Ko
Halka Halka Suroor Rehta Hai
Aisay Rehtay Hein Koi Mere Dil Mein
Jaisay Zulmat Mein Noor Rehta Hai
Ab Adam Ka Yeah Haal Hai Har Waqt
Mast Rehta Hai Chuur Rehta Hai

Yeah Joh Halka Halka Suroor Hai
Yeah Teri Nazar Ka Qasoor Hai
K Sharab Peena Sikha Diya
Tairay Pyar Nai, Teri Chaah Nai
Teri Behki Behki Nigaah Nai
Mujhay Ik Sharabi Bana Diya�
Sharab Kaisi (what Drink), Khumaar Kaisa (what Elevation)
Yeah Sub Tumhari Nawazishein Hein (it Is All Your Gift)
Pilai Hai Kiss Nazar Say Tu Nai (how I Have Been Made Into An Addict)
K Mujhko Apni Khabar Nahi Hai (i Have No Awareness Of Myself)
Teri Behki Behki Nigah Nai (your Lost Looks)
Mujhe Ik Sharabi Bana Dia....
Sara Jahan Must, Jahan Ka Nizam (system) Must
Din Must, Raat Must, Saher (morning) Must, Shaam Must
Dil Must, Sheesha Must, Sabu (cup Of Wine) Must, Jaam Must
Hai Teri Chashm-e-must Say Her Khaas-o-aam (everyone) Must
Yoon To Saqi Her Tarah Ki Tere Maikhane Mein Hai
Woh Bhi Thori Si Jo In Aankhon K Paimane Mein Hai
Sub Samajhta Hoon Teri Ishwa-kari (cleverness) Ay Saqi
Kaam Karti Hai Nazar Naam Hai Paimane Ka.. Bus!
Teri Behki Behki Nigah Nai
Mujhe Ik Sharabi Bana Diya...
Tera Pyar Hai Meri Zindagi (my Life Is Your Love)
Tera Pyar Hai Meri Bandagi (i Am Enclosed In Your Love)
Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi, Tera Pyar Hai Bas Meri Zindagi
Na Namaz Aati Hai Mujhko, Na Wazoo Aata Hai
Sajda Kar Leta Hoon, Jab Saamnay Tu Aata Hai
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai....
Mai Azal Say Banda-e-ishq Hoon, Mujhe Zohd-o-kufr Ka Gham Nahin (deep Down I Am A Lover. I Am Not Sad For Hereafter-hell)
Mere Sir Ko Dar Tera Mil Gaya, Mujhe Ab Talash-e-haram Nahi
Meri Bandagi Hai Wo Bandagi, Jo Muqeed-e-dair-o-haram (bounded To Any Sacrad Place) Nahi
Mera Ik Nazar Tumhein Dekhna, Ba Khuda Namaz Se Kam Nahi (for Me To Look At You Is No Less Than Namaz)
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...
Bus Meri Zindagi Tera Pyar Hai...
Tera Naam Loon Zubaan Say, Tere Aagay Sir Jhuka Doon
Mera Ishq Keh Raha Hai, Mein Tujhe Khuda Bana Doon
Tera Naam Mere Lub Per, Mera Tazkara Hai Dar Dar
Mujhay Bhool Ja'ay Dunya, Mein Agar Tujhe Bhula Doon
Mere Dil Mein Bus Rahe Hein, Tere Bepanah Jalwe
Na Ho Jiss Mein Noor Tera, Woh Charagh Hi Bujha Doon
Jo Pucha K Kis Tarah Hoti Hai Baarish, Jabeen (forehead) Se Paseene Ki Boondein Gira Di
Jo Pucha K Kis Tarah Girti Hai Bijli, Nigahein Milaein Mila Kar Jhuka Dein
Jo Pucha Shab-o-roz Milte Hain Kaise, To Chehre Pe Apne Wo Zulfein Hata Deein
Jo Pucha K Naghmon Mein Jaadu Hai Kaisa, To Meethe Takallum Mein Baatein Suna Deein
Jo Apni Tamanaon Ka Haal Poocha , To Jalti Howi Chand Shamein Bhujha Deein
Main Kehta Reh Gaya Khata-e-mohabbat Ki Achi Saza Di
Mere Dil Ki Dunya Bana Kar Mita Di, Acha!
Mere Baad Kisko Satao Gay,
Mujhe Kis Tarah Se Mitao Gay
Kahan Ja Ke Teer Chalao Gay
Meri Dosti Ki Balaein Lo
Mujhe Haath Utha Kar Duaein Do, Tumhein Ek Qatil Bana Diya
Mujhe Daikho Khuwahish-e-jan-e-jaan
Main Wohi Hoon Anwar-e-nim Jaan
Tumhain Itna Hosh Tha Jub Kahan
Na Chalao Is Tarah Tum Zaban
Karo Mera Shukriya Meherban
Tumhein Baat Karna Sikha Diya...
Yeh Jo Halka Halka Suroor Hai, Yeh Teri Nazar Ka Kasoor Hai
Kay Sharab Peena Sikha Diya


 
Copyright © 2023 Nusrat Records. Designed by Nusrat Records - Nusrat Records